Kya batau doston,dosti kitni haseen hai,
Jab dost ho paas,to lagta hai khushnaseeb hain,
Jab ho duur,to aata nahi yakeen hai,
Shamil kiya har gham,har khushi mein hamein jinne,
samjha hamein apna,kehne diya hamein
Vo sirf sunte gaye jo hum kahe,
Mani vo baat aur safal hue,
Unke vaaste ye jahaan hai,
Mang le agar jaan to woh bhi kurbaan hai!
Ek adaa pe unke,jo jhapti muskaan hai,
Awaaz sunne ko unki,besudh latke yeh kaan hain,
Kya yaad karein unke jo hamesha paas rehte hain
Khud se jyada,hamari fikar jo karte hain
Keh diya jo ek baar,jo hukm keh kar maante hain,
Humse duur jakar hamein hi rulate hain!
Khushi dekar gham loot le jate hain,
Hamein bhoolne ka mauka tak nahi de pate hain,
Baje dete hain ghanti ya aa jata hai mail,
Kya sir,paas hue ya fail?
Yaad karo woh din to ansoon aa jate hain
Din kya ,maheene kya,saal guzar jate hain!
Dost woh hain jo hamein chehre se nahi aahat se pehchante hain,
Sawaalon ke jawaab jo isharon mein de jate hain
Dost woh hain jo har haal mein saath nibhate hain
Kavita hamari yoon padhkar kuch nahi woh keh pate hain!
Woh hamein yaad karte hain to hum pehchaan jate hain,
Bhej dete hain farmaan ya khud hazir ho jate hain
Jo kar sakte hain,karte hain unke liye
Pesh unke saamne karte hum apni jaan hain
Un doston ke naam meri yeh zindagi
Sau sau baar kurbaan hai,
Sau sau baar kurbaan hai!
Phail jate jab badal aasmaan mein,
Chadh jata jab falak par chand hain,
Bhar jate jab aasmaan mein sare taare,
Yaad aate woh din,woh dost,
Jo hamari aan,maan aur hamari shaan hain,
De diya jinhe humne
Hamara dil aur hamari jaan hai !!!